Maut

Maqbool Fida
1 min readMar 18, 2024

Mujhe ab maut se farak nahin padta
Ab maut ke khabar bann chuki hai
Na mai chaukta hu, na ghabrata hu
Na sochta hu, na chintata hu
Maut ki khabar, bass khabar ki tarah aanhon ke aage se guzar jaati hai
Roz nayi maut ki khabar aati hai
Kabhi duniya ki iss kone se kabhi iss kone se
Maut ki khabar aur khair mubarak ab ek si lagti hai
Maut ko mehez ek viral post bana diya hai
Ek headline bana diya hai
Bana diya hai ek zariya chai pe mudda chedne ka
Maykhaano mai apne palda bhaari karne ke liye dusri ki maut pe
janaza uthane ka
Maut maut nahin mazaak bann gayi hai
Subah log marte hai,
Hum dukhi ho, shaam ko mall chale jaate hai
Sochta hu uss bacche ke baare mai
Jiski chaaron taraf maut hai
Kya sochta hoga vo?
Kya vo bhi maut se ghabrata hoga?
Kya vo bhi sochta hoga subah maut se bacch gaya toh shaam ko mall jaunga
Par suna hai uske aas paas toh mall ki bhi maut ho gayi
Ek samay roya karta tha vo, jab uski maa ki maut hui,
Fir pita ki hui, fir bhai behen ki hui
Ab bass bikhre patharon mai niwala khoj raha hai
Koi poochta hai maut se nai darte?
Vo bass muskura deta hai.
Usse ab maut se farak nai padta

--

--

Maqbool Fida

There are things that you want to do and then there are things that you have to do.